Thursday, April 30, 2009

Iqbal (Apni Jolangah)

Apni jolaaN'gah zaer-e-AasmaaN samjha tha meiN
Aab-o-gill ke khel ko apna jahaN samjha tha meiN

Be'hijaabi se teri TooTa nigahooN ka talism
Ik ridaa-e neelgooN ko aasmaaN samjha tha meiN

KarvaaN thuk ker fizza ke paich-o-kham meiN reh gya
MeHr-o-mah-o-mushtree ko hum'anaaN samjha tha meiN

Ishq ki ik jast ne teh ker diya qissa tamaam
Iss zameen-o-aasmaaN ko be'karaaN samjha tha meiN

Keh gayeiN raaz-e-muhabbat parda'dari haaey shoq
Thi fughaaN wo bi jissay zabt-e-fughaaN samjha tha meiN

Thi kisi darmaaNda reh'ro ki sadda-e dardnaak
Jis ko aavaaz-e-raheel-e-karvaaN samjha tha meiN

0 Comments:

Post a Comment

<< Home